raat qātil kī galī ho jaise
chāñd iisā sā banī ho jaise
raat ik shab kī byāhī ho dulhan
maañg tāroñ se bharī ho jaise
un hī zarroñ se haiñ lamhe mah-o-sāl
umr ik ret-ghaḌī ho jaise
ek tinkā bhī na chhoḌā ghar meñ
tez āñdhī sī chalī ho jaise
yuuñ umañDtā hai tirā ġham ab tak
koī sāvan kī nadī ho jaise
jis ne patthar kā kiyā hai mujh ko
alf-lailā kī parī ho jaise
jaane kaise haiñ rafīqoñ ke makāñ
koī dushman kī galī ho jaise
us meñ ġham ke na ḳhushī ke aañsū
aañkh patthar kī banī ho jaise
is tarah ḳhush huuñ ki ḳhvāboñ meñ vahī
phuul barsā ke ga.ī ho jaise
maiñ use bhuul gayā huuñ aise
vo mujhe bhuul ga.ī ho jaise
aaj ke daur meñ ye mashq-e-suḳhan
muft kī dard-sarī ho jaise