duniyā apnī manzil pahuñchī tum ghar meñ bezār paḌe
tum se kis ko ishq huā hai tum pe ḳhudā kī maar paḌe
dil kī bātoñ meñ aa jaanā jiite jī mar jaanā hai
ham us ke kahne meñ aa.e kitne din bīmār paḌe
gul yā gulshan se laḌ jaanā khel hai apnī nazroñ kā
aisī ghaḌī allāh na laa.e jab dil se takrār paḌe
gar na sadaf se bāhar aate ik din motī ban jaate
kam-zarfī ne ḳhvār kiyā hai sāhil par ho baar paḌe
hijr kī muddat dard ke lamhe kyā kyā ma.anī rakhte haiñ
ye sab bāteñ vo dil jaane jis par ġham kā baar paḌe
duniyā taj kar ishq ke raste aa.e vo bhī sahl paḌā
'vajd' ab us raste par jaao jo rasta dushvār paḌe