dekhne meñ ye kāñch kā ghar hai
raushnī aadmī ke andar hai
kaisā ujḌā huā ye manzar hai
ghar ke hote bhī koī be-ghar hai
misl-e-yūnus huuñ batn-e-māhī meñ
mere chāroñ taraf samundar hai
us ke kyā kyā sulūk dekhe haiñ
vaqt hī baḳht kā sikandar hai
dekhne meñ hai vo varaq saada
paḌhne baiThūñ to ek daftar hai
raushnī ho to koī pahchāne
kaun rahzan hai kaun rahbar hai
saañs lenā bhī mo.ajiza hai yahāñ
zindagī aag kā samundar hai
roz paḌhtā huuñ bhiiḌ ke chehre
sab ke chehre pe ek manzar hai
us kī tasvīr kis tarah khīñchūñ
merā mahbūb mere andar hai
apnī rūdād mujh ko yaad nahīñ
dil ko lekin tamām azbar hai