Wajd Chughtai

chahaton ki jo dil ko aadat hai

Wajd Chughtai

chāhatoñ kī jo dil ko aadat hai
ye bhī insāñ kī ik zarūrat hai
ham farishte kahāñ se ban jaa.eñ
ishq insān kī jibillat hai
kaun aayā hai kaun aa.egā
be-sabab jāgne kī aadat hai
kyā mileñge jo kho ga.e ik baar
bhiiḌ meñ DhūñDhnā qayāmat hai
un ke andāz dushmanī meñ bhī
dostī kī ajab shabāhat hai
mere andar jo merā dushman hai
hū-ba-hū vo mirī hī sūrat hai
un ke va.adoñ se ye huā ma.alūm
jhuuT sab se baḌī sadāqat hai
is qadar duur kyuuñ nikal aa.e
ab to ghar lauTnā qayāmat hai
un ke lahje meñ un kī bātoñ meñ
chāñdnī-rāt kī sabāhat hai
ye kahānī bhī ḳhuub hai yaaro
har jagah ek sī ibārat hai
'vajd' yādoñ meñ un kī ġham rahnā
rāhatoñ kī hazār rāhat hai
kis liye 'vajd' dil-girafta ho
dushmanī dostoñ kī aadat hai
Top Urdushayar.com