Meer Taqi Meer

mue sahte sahte jafa-kariyan

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
mue sahte sahte jafā-kāriyāñ
koī ham se sīkhe vafādāriyāñ
hamārī to guzrī isī taur umr
yahī naala karnā yahī zāriyāñ
farishta jahāñ kaam kartā na thā
mirī aah ne barchhiyāñ māriyāñ
gayā jaan se ik jahāñ le ke shoḳh
na tujh se ga.iiñ ye dil-āzāriyāñ
kahāñ tak ye taklīf-e-mā lā-yutāq
huiiñ muddatoñ nāz-bardāriyāñ
ḳhat-o-kākul-o-zulf-o-andāz-o-nāz
huiiñ dām-e-rah sad-giraftāriyāñ
kiyā dard-o-ġham ne mujhe nā-umīd
ki majnūñ ko ye hī thiiñ bīmāriyāñ
tirī āshnā.ī se hī had huī
bahut kī thiiñ duniyā meñ ham yāriyāñ
na bhaa.ī hamārī to qudrat nahīñ
khiñchīñ 'mīr' tujh se hī ye ḳhvāriyāñ
Top Urdushayar.com