Meer Taqi Meer

piri mein kya jawani ke mausam ko roiye

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
piirī meñ kyā javānī ke mausam ko roiye
ab sub.h hone aa.ī hai ik dam to soiye
ruḳhsār us ke haa.e re jab dekhte haiñ ham
aatā hai jī meñ āñkhoñ ko un meñ gaḌoiye
iḳhlās dil se chāhiye sajda namāz meñ
be-fā.eda hai varna jo yuuñ vaqt khoiye
kis taur āñsuoñ meñ nahāte haiñ ġham-kashāñ
is āb-e-garm meñ to na uñglī Duboiye
matlab ko to pahuñchte nahīñ andhe ke se taur
ham mārte phire haiñ u nahīñ Tappe Toiye
ab jaan jism-e-ḳhākī se tañg aa ga.ī bahut
kab tak is ek Tokarī miTTī ko Dhoiye
ālūda us galī kī jo huuñ ḳhaak se to 'mīr'
āb-e-hayāt se bhī na ve paañv dhoiye
Top Urdushayar.com