sair kar andalīb kā ahvāl
haiñ pareshāñ chaman meñ kuchh par-o-bāl
tab-e-ġham to ga.ī tabīb vale
phir na aayā kabhū mizāj-e-bahāl
sabza-nau-rasta rahguzār kā huuñ
sar uThāyā ki ho gayā pāmāl
kyuuñ na dekhūñ chaman ko hasrat se
āshiyāñ thā mirā bhī yaañ par-sāl
sard-mehrī kī bas-ki gul-rū ne
oḌhī abr-e-bahār ne bhī shaal
hijr kī shab ko yaañ ta.iiñ taḌpā
ki huā sub.h hote merā visāl
ham to sah guzre kaj-ravī terī
na nibhe par ai falak ye chaal
dīda-e-tar pe shab rakhā thā 'mīr'
lukka-e-abr hai mirā rūmāl