Meer Taqi Meer

jis jagah daur-e-jam hota hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810

jis jagah daur-e-jām hotā hai

vaañ ye aajiz mudām hotā hai

ham to ik harf ke nahīñ mamnūn

kaisā ḳhatt-o-payām hotā hai

teġh nākāmoñ pe na har dam khīñch

ik karishme meñ kaam hotā hai

pūchh mat aah āshiqoñ ma.āsh

roz un bhī shaam hotā hai

zaḳhm bin ġham bin aur ġhussa bin

apnā khānā harām hotā hai

shaiḳh shakl hai shaitān

jis pe shab ahtelām hotā hai

qatl ko maiñ kahā to uTh bolā

aaj kal sub.h-o-shām hotā hai

āḳhir ā.ūñgā na.ash par ab aah

ki ye āshiq tamām hotā hai

'mīr' sāhab bhī us ke haañ the par

jaise koī ġhulām hotā hai

Top Urdushayar.com