ye chashm ā.īna-dār-e-rū thī kasū kī
nazar us taraf bhī kabhū thī kasū kī
sahar pā-e-gul be-ḳhudī ham ko aa.ī
ki us sust paimāñ meñ bū thī kasū kī
ye sar-gashta jab tak rahā is chaman meñ
ba-rañg-e-sabā justujū thī kasū kī
na Thahrī Tuk ik jaan bar-lab rasīda
hameñ mudda.ā guftugū thī kasū kī
jalāyā shab ik sho.ala-e-dil ne ham ko
ki us tund sarkash meñ ḳhū thī kasū kī
na the tujh se nāzuk mayānā-e-gulshan
bahut to kamar jaise mū thī kasū kī
dam-e-marg dushvār dī jaan in ne
magar 'mīr' ko aarzū thī kasū kī