garm haiñ shor se tujh husn ke bāzār ka.ī
rashk se jalte haiñ yūsuf ke ḳharīdār ka.ī
kab talak daaġh dikhāvegī asīrī mujh ko
mar ga.e saath ke mere to giraftār ka.ī
ve hī chālākiyāñ hāthoñ kī haiñ jo avval thiiñ
ab garebāñ meñ mire rah ga.e haiñ taar ka.ī
ḳhauf-e-tanhā.ī nahīñ kar tū jahāñ se to safar
har jagah rāh-e-adam meñ mileñge yaar ka.ī
iztirāb-o-qilq-o-zo.af meñ kis taur jiyūñ
jaan vāhid hai mirī aur haiñ āzār ka.ī
kyuuñ na huuñ ḳhasta bhalā maiñ ki sitam ke tere
tiir haiñ paar ka.ī vaar haiñ sofār ka.ī
apne kūche meñ nikaliyo to sambhāle dāman
yādgār-e-mizha-e-'mīr' haiñ vaañ ḳhaar ka.ī