Meer Taqi Meer

munh taka hi kare hai jis tis ka

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
muñh takā hī kare hai jis tis kā
hairatī hai ye ā.īna kis kā
shaam se kuchh bujhā sā rahtā huuñ
dil huā hai charāġh muflis kā
the bure muġhbachoñ ke tevar lek
shaiḳh mai-ḳhāne se bhalā khiskā
daaġh āñkhoñ se khil rahe haiñ sab
haath dasta huā hai nargis kā
bahr kam-zarf hai basān-e-habāb
kāsa-lais ab huā hai tū jis kā
faiz ai abr chashm-e-tar se uThā
aaj dāman vasī.a hai is kā
taab kis ko jo hāl-e-'mīr' sune
haal hī aur kuchh hai majlis kā
Top Urdushayar.com