Meer Taqi Meer

shab shama par patang ke aane ko ishq hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
shab sham.a par patañg ke aane ko ishq hai
us dil-jale ke taab ke laane ko ishq hai
sar maar maar sañg se mardāna jī diyā
farhād ke jahān se jaane ko ishq hai
uThiyo samajh ke jā se ki mānind-e-gard-bād
āvārgī se terī zamāne ko ishq hai
bas ai sip.har sa.ī se terī to roz-o-shab
yaañ ġham satāne ko hai jalāne ko ishq hai
baiThī jo teġh-e-yār to sab tujh ko khā ga.ī
ai siine tere zaḳhm uThāne ko ishq hai
ik dam meñ tū ne phūñk diyā do-jahāñ ke tiiñ
ai ishq tere aag lagāne ko ishq hai
saudā ho tab ho 'mīr' ko to kariye kuchh ilaaj
us tere dekhne ke divāne ko ishq hai
Top Urdushayar.com