baare duniyā meñ raho ġham-zada yā shaad raho
aisā kuchh kar ke chalo yaañ ki bahut yaad raho
ishq-peche kī tarah husn-e-giraftārī hai
lutf kyā sarv kī mānind gar āzād raho
ham ko dīvāngī shahroñ hī meñ ḳhush aatī hai
dasht meñ qais raho koh meñ farhād raho
vo garāñ ḳhvāb jo hai naaz kā apne so hai
daad be-dād raho shab ko ki fariyād raho
'mīr' ham mil ke bahut ḳhush hue tum se pyāre
is ḳharābe meñ mirī jaan tum ābād raho