Saqib Lakhnavi

kahan tak jafa husn walon ki sahte

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
kahāñ tak jafā husn vāloñ kī sahte
javānī jo rahtī to phir ham na rahte
lahū thā tamannā kā aañsū nahīñ the
bahā.e na jaate to hargiz na bahte
vafā bhī na hotā to achchhā thā va.ada
ghaḌī do ghaḌī to kabhī shaad rahte
hujūm-e-tamannā se ghuTte the dil meñ
jo maiñ roktā bhī to naale na rahte
maiñ jāgūñgā kab tak vo so.eñ ge tā-kai
kabhī chīḳh uTThūñgā ġham sahte sahte
batāte haiñ aañsū ki ab dil nahīñ hai
jo paanī na hotā to dariyā na bahte
zamāna baḌe shauq se sun rahā thā
hamīñ so ga.e dāstāñ kahte kahte
koī naqsh aur koī dīvār samjhā
zamāna huā mujh ko chup rahte rahte
mirī naav is ġham ke dariyā meñ 'sāqib'
kināre pe aa hī lagī bahte bahte
Top Urdushayar.com