Meer Taqi Meer

ashk aankhon mein kab nahin aata

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ashk āñkhoñ meñ kab nahīñ aatā
lohū aatā hai jab nahīñ aatā
hosh jaatā nahīñ rahā lekin
jab vo aatā hai tab nahīñ aatā
sabr thā ek monis-e-hijrāñ
so vo muddat se ab nahīñ aatā
dil se ruḳhsat huī koī ḳhvāhish
girya kuchh be-sabab nahīñ aatā
ishq ko hausla hai shart arna
baat kā kis ko Dhab nahīñ aatā
jī meñ kyā kyā hai apne ai hamdam
par suḳhan tā-ba-lab nahīñ aatā
duur baiThā ġhubār-e-'mīr' us se
ishq bin ye adab nahīñ aatā
Top Urdushayar.com