ġhālib ki ye dil-ḳhasta shab-e-hijr meñ mar jaa.e
ye raat nahīñ vo jo kahānī meñ guzar jaa.e
hai turfa mufattin-nigah us ā.ina-rū kī
ik pal meñ kare saiñkaḌoñ ḳhuuñ aur mukar jaa.e
ne but-kada hai manzil-e-maqsūd na ka.aba
jo koī talāshī ho tirā aah kidhar jaa.e
har sub.h to ḳhurshīd tire muñh pe chaḌhe hai
aisā na ho ye saada kahīñ jī se utar jaa.e
yāqūt koī un ko kahe hai koī gul-barg
Tuk hoñT hilā tū bhī ki ik baat Thahar jaa.e
ham taaza shahīdoñ ko na aa dekhne nāzāñ
dāman kī tirī zah kahīñ lohū meñ na bhar jaa.e
girye ko mire dekh Tuk ik shahr ke bāhar
ik sat.h hai paanī kā jahāñ tak ki nazar jaa.e
mat baiTh bahut ishq ke āzurda diloñ meñ
naala kasū mazlūm kā tāsīr na kar jaa.e
is varte se taḳhta jo koī pahuñche kināre
to 'mīr' vatan mere bhī shāyad ye ḳhabar jaa.e