Meer Taqi Meer

jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
jīte-jī kūcha-e-dildār se jaayā na gayā
us kī dīvār kā sar se mire saaya na gayā
kāv-kāve mizha-e-yār o dil-e-zār-o-nazār
guth ga.e aise shitābī ki chhuḌāyā na gayā
vo to kal der talak dekhtā īdhar ko rahā
ham se hī hāl-e-tabāh apnā dikhāyā na gayā
garm-rau rāh-e-fanā kā nahīñ ho saktā patañg
us se to sham.a-namat sar bhī kaTāyā na gayā
pās-e-nāmūs-e-mohabbat thā ki farhād ke paas
be-sutūñ sāmne se apne uThāyā na gayā
ḳhaak tak kūcha-e-dildār kī chhānī ham ne
justujū kī pe dil-e-gum-shuda paayā na gayā
ātish-e-tez judā.ī meñ yakāyak us bin
dil jalā yuuñ ki tanik jī bhī jalāyā na gayā
mah ne aa sāmne shab yaad dilāyā thā use
phir vo tā sub.h mire jī se bhulāyā na gayā
zer-e-shamshīr-e-sitam 'mīr' taḌapnā kaisā
sar bhī taslīm-e-mohabbat meñ hilāyā na gayā
jī meñ aatā hai ki kuchh aur bhī mauzūñ kiije
dard-e-dil ek ġhazal meñ to sunāyā na gayā
Top Urdushayar.com