chalte ho to chaman ko chaliye kahte haiñ ki bahārāñ hai
paat hare haiñ phuul khile haiñ kam kam bād-o-bārāñ hai
rañg havā se yuuñ Tapke hai jaise sharāb chuvāte haiñ
aage ho mai-ḳhāne ke niklo ahd-e-bāda-gusārāñ hai
ishq ke maidāñ-dāroñ meñ bhī marne kā hai vasf bahut
ya.anī musībat aisī uThānā kār-e-kār-guzārāñ hai
dil hai daaġh jigar hai TukḌe aañsū saare ḳhuun hue
lohū paanī ek kare ye ishq-e-lāla-azārāñ hai
kohkan o majnūñ kī ḳhātir dasht-o-koh meñ ham na ga.e
ishq meñ ham ko 'mīr' nihāyat pās-e-izzat-dārāñ hai