ba-rañg-e-bū-e-gul us baaġh ke ham āshnā hote
ki hamrāh-e-sabā Tuk sair karte phir havā hote
sarāpā aarzū hone ne banda kar diyā ham ko
vagarna ham ḳhudā the gar dil-e-be-mudda.ā hote
falak ai kaash ham ko ḳhaak hī rakhtā ki is meñ ham
ġhubār-e-rāh hote yā kasū kī ḳhāk-e-pā hote
ilāhī kaise hote haiñ jinheñ hai bandagī ḳhvāhish
hameñ to sharm dāman-gīr hotī hai ḳhudā hote
tū hai kis nāhiye se ai dayār-e-ishq kyā jānūñ
tire bāshindagāñ ham kaash saare bevafā hote
ab aise haiñ ki sāne.a ke mizāj uupar baham pahuñche
jo ḳhātir-ḳhvāh apne ham hue hote to kyā hote
kahīñ jo kuchh malāmat gar bajā hai 'mīr' kyā jāneñ
unheñ ma.alūm tab hotā ki vaise se judā hote