ab 'mīr'-jī to achchhe zindīq hī ban baiThe
peshānī pe de qashqa zunnār pahan baiThe
āzurda dil-e-ulfat ham chupke hī behtar haiñ
sab ro uThegī majlis jo kar ke suḳhan baiThe
uryān phireñ kab tak ai kaash kahīñ aa kar
tā gard bayābāñ kī bālā-e-badan baiThe
paikān-e-ḳhadañg us kā yuuñ siine ke ūdhar hai
joñ mār-e-siyah koī kāḌhe hue phan baiThe
juz ḳhat ke ḳhayāl us ke kuchh kaam nahīñ ham ko
sabzī piye ham aksar rahte haiñ magan baiThe
shamshīr-e-sitam us kī ab go kā chale har-dam
shorīda-sar apne se ham bāñdh kafan baiThe
bas ho to idhar-ūdhar yuuñ phirne na deñ tujh ko
nā-chār tire ham ye dekheñ haiñ chalan baiThe