idhar se abr uTh kar jo gayā hai
hamārī ḳhaak par bhī ro gayā hai
masā.ib aur the par dil kā jaanā
ajab ik sāneha sā ho gayā hai
muqāmir-ḳhāna-e-āfāq vo hai
ki jo aayā hai yaañ kuchh kho gayā hai
kuchh aao zulf ke kūche meñ darpesh
mizāj apnā udhar ab to gayā hai
sirhāne 'mīr' ke koī na bolo
abhī Tuk rote rote so gayā hai