Meer Taqi Meer

ghairon se mil chale tum mast-e-sharab ho kar

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ġhairoñ se mil chale tum mast-e-sharāb ho kar
ġhairat se rah ga.e ham yaksū kabāb ho kar
us rū-e-ātishīñ se burqā sarak gayā thā
gul bah gayā chaman meñ ḳhajlat se aab ho kar
kal raat muñd ga.ī thiiñ bahutoñ kī āñkheñ ġhash se
dekhā kiyā na kar to sarmast ḳhvāb ho kar
parda rahegā kyūñkar ḳhurshīd-e-ḳhāvarī kā
nikle hai vo bhī ab be-naqāb ho kar
yak qatra aab maiñ ne is daur meñ piyā hai
niklā hai chashm-e-tar se vo ḳhūn-e-nāb ho kar
aa baiThtā thā suufī har sub.h mai-kade meñ
shukr-e-ḳhudā ki niklā vaañ se ḳharāb ho kar
sharm-o-hayā kahāñ tak haiñ 'mīr' koī din ke
ab to milā karo tum Tuk be-hijāb ho kar
Top Urdushayar.com