Meer Taqi Meer

kya laDke dilli ke hain ayyar aur naT-khaT

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kyā laḌke dillī ke haiñ ayyār aur naT-khaT
dil leñ haiñ yuuñ ki hargiz hotī nahīñ hai aahaT
ham āshiqoñ ko marte kyā der kuchh lage hai
chaT jin ne dil pe khaa.ī vo ho gayā hai chaT-paT
dil hai jidhar ko ūdhar kuchh aag sī lagī thī
us pahlū ham jo leTe jal jal ga.ī hai karvaT
kaliyoñ ko tū ne chaT chaT ai bāġhbāñ jo toḌā
bulbul ke dil jigar ko zālim lagī hai kyā chaT
jī hī haTe na merā to us ko kyā karūñ maiñ
har-chand baiThtā huuñ majlis meñ us se haT haT
detī hai tuul bulbul kyā nāla-o-fuġhāñ ko
dil ke ulajhne se haiñ ye āshiqoñ kī phaT phaT
murde na the ham aise dariyā pe jab thā takiya
us ghaaT gaah o begah rahne lagā thā jamghaT
ruk ruk ke dil hamārā be-tāb kyuuñ na hove
kasrat se dard-o-ġham kī rahtā hai us pe jhurmuT
shab 'mīr' se mile ham ik vahm rah gayā hai
us ke ḳhayāl-e-mū meñ ab to gayā bahut laT
Top Urdushayar.com