Meer Taqi Meer

kahan tak ghair jasusi ke lene ko laga aawe

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kahāñ tak ġhair jāsūsī ke lene ko lagā aave
ilāhī is balā-e-nā-gahāñ par bhī balā aave
rukā jaatā hai jī andar hī andar aaj garmī se
balā se chaak hī ho jaave siina Tuk havā aave
tirā aanā hī ab markūz hai ham ko dam-e-āḳhir
ye jī sadqe kiyā thā phir na aave tan meñ yā aave
ye rasm-e-āmad-o-raft-e-dayār-e-ishq taaza hai
hañsī vo jaa.e merī aur ronā yuuñ chalā aave
asīrī ne chaman se merī dil-garmī ko dho Daalā
vagarna barq jā kar āshiyāñ merā jalā aave
umīd-e-rahm un se saḳht nā-fahmī hai āshiq kī
ye but sañgīñ-dilī apnī na chhoḌeñ gar ḳhudā aave
ye fann-e-ishq hai aave use tīnat meñ jis kī ho
tū zāhid-e-pīr-e-nā-bāliġh hai be tah tujh ko kyā aave
hamāre dil meñ aane se takalluf ġham ko bejā hai
ye daulat-ḳhāna hai us kā vo jab chāhe chalā aave
ba-rañg-e-bū-e-ġhuncha umr ik hī rañg meñ guzre
mayassar 'mīr'-sāhib gar dil be-mudda.ā aave
Top Urdushayar.com