dil jo zer-e-ġhubār aksar thā
kuchh mizāj in dinoñ mukaddar thā
is pe takiya kiyā to thā lekin
rāt-din ham the aur bistar thā
sarsarī tum jahāñ se guzre
varna har jā jahān-e-dīgar thā
dil kī kuchh qadar karte rahiyo tum
ye hamārā bhī nāz-parvar thā
ba.ad yak umr jo huā ma.alūm
dil us ā.īna-rū kā patthar thā
baare sajda adā kiyā tah-e-teġh
kab se ye bojh mere sar par thā
kyuuñ na abr-e-siyah safed havā
jab talak ahd-e-dīda-e-tar thā
ab ḳharāba huā jahānābād
varna har ik qadam pe yaañ ghar thā
be-zarī kā na kar gilā ġhāfil
rah tasallī ki yuuñ muqaddar thā
itne mun.im jahān meñ guzre
vaqt rehlat ke kis kane zar thā
sāhib-e-jāh-o-shakat-o-iqbāl
ik azaañ jumla ab sikandar thā
thī ye sab kā.enāt zer-e-nagīñ
saath mor-o-malaḳh sā lashkar thā
la.al-o-yāqūt ham zar-o-gauhar
chāhiye jis qadar mayassar thā
āḳhir-e-kār jab jahāñ se gayā
haath ḳhālī kafan se bāhar thā
aib tūl-e-kalām mat kariyo
kyā karūñ maiñ suḳhan se ḳhūgar thā
ḳhush rahā jab talak rahā jiitā
'mīr' ma.alūm hai qalandar thā