shash-jihat se is meñ zālim bū-e-ḳhūñ kī raah hai
terā kūcha ham se tū kah kis kī bismil-gāh hai
ek nibhne kā nahīñ mizhgāñ talak bojhal haiñ sab
kārvāñ laḳht-e-dil-e-har-ashk ke hamrāh hai
ham javānoñ ko na chhoḌā us se sab pakḌe ga.e
ye do-sāla duḳhtar-e-raz kis qadar shattāh hai
pā-barahna ḳhaak sar meñ mū pareshāñ siina chaak
haal merā dekhne aa tere hī dil-ḳhvāh hai
is junūñ par 'mīr' koī bhī phire hai shahr meñ
jāda-e-sahrā se kar sāzish jo tujh se raah hai