dāman vasī.a thā to kaahe ko chashm tarsā
rahmat ḳhudā kī tujh ko ai abr zor barsā
shāyad kabāb kar kar khāyā kabūtar un ne
naama uḌā phire hai us kī galī meñ par sā
vahshī mizāj az-bas mānūs bādya haiñ
un ke junūñ meñ jañgal apnā huā hai ghar sā
jis haath meñ rahā kī us kī kamar hamesha
us haath mārne kā sar par bañdhā hai kar sā
sab pech kī ye bāteñ haiñ shā.iroñ kī varna
bārīk aur nāzuk mū kab hai us kamar sā
tarz-e-nigāh us kī dil le ga.ī sabhoñ ke
kyā momin o barhaman kyā gabr aur tarsā
tum vāqif-e-tarīq-e-be-tāqatī nahīñ ho
yaañ rāh-e-do-qadam hai ab duur kā safar sā
kuchh bhī ma.āsh hai ye kī un ne ek chashmak
jab muddatoñ hamārā jī dekhne ko tarsā
Tuk tark-e-ishq kariye lāġhar bahut hue ham
aadhā nahīñ rahā hai ab jism-e-rañj-farsā
vaa.iz ko ye jalan hai shāyad ki farbahī se
rahtā hai hauz hī meñ aksar paḌā magar sā
andāz se hai paidā sab kuchh ḳhabar hai us ko
go 'mīr' be-sar-o-pā zāhir hai be-ḳhabar sā