Meer Taqi Meer

kya kahen aatish-e-hijran se gale jate hain

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kyā kaheñ ātish-e-hijrāñ se gale jaate haiñ
chhātiyāñ sulgeñ haiñ aisī ki jale jaate haiñ
gauhar-e-gosh kisū kā nahīñ jī se jaatā
aañsū motī se mire muñh pe Dhale jaate haiñ
yahī masdūd hai kuchh rāh-e-vafā varna baham
sab kahīñ naama o paiġhām chale jaate haiñ
bār-e-hirmān-o-gul-o-dāġh nahīñ apne saath
shajar-e-bāġh-e-vafā phūle phale jaate haiñ
hairat-e-ishq meñ tasvīr se rafta hī rahe
aise jaate haiñ jo ham bhī to bhale jaate haiñ
hijr kī koft jo khīñche haiñ unhīñ se pūchho
dil diye jaate haiñ jī apne male jaate haiñ
yād-e-qad meñ tire āñkhoñ se baheñ haiñ jueñ
gar kisū baaġh meñ ham sarv tale jaate haiñ
dekheñ pesh aave hai kyā ishq meñ ab to juuñ sail
ham bhī is raah meñ sar gaaḌe chale jaate haiñ
pur-ġhubāri-e-jahāñ se nahīñ sudh 'mīr' hameñ
gard itnī hai ki miTTī meñ rule jaate haiñ
Top Urdushayar.com