Meer Taqi Meer

chaak par chaak hua jun jun sulaya humne

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
chaak par chaak huā juuñ juuñ sulāyā ham ne
is garebāñ hī se ab haath uThāyā ham ne
hasrat-e-lutf-e-azīzān-e-chaman jī meñ rahī
sar pe dekhā na gul-o-sarva kā saaya ham ne
jī meñ thā arsh pe jā bāñdhiye takiya lekin
bistara ḳhaak hī meñ ab to bichhāyā ham ne
ba.ad yak umr kahīñ tum ko jo tanhā paayā
Darte Darte hī kuchh ahvāl sunāyā ham ne
yaañ faqat reḳhta hī kahne na aa.e the ham
chaar din ye bhī tamāshā sā dikhāyā ham ne
baare kal baaġh meñ jā murġh-e-chaman se mil kar
ḳhūbī-e-gul kā maza ḳhuub uḌāyā ham ne
tāzgī daaġh kī har shaam ko be-hech nahīñ
aah kyā jaane diyā kis kā bujhāyā ham ne
dasht-o-kohsār meñ sar maar ke chande tujh bin
qais-o-farhād ko phir yaad dilāyā ham ne
bekalī se dil-e-betāb kī mar guzre the
so tah-e-ḳhāk bhī ārām na paayā ham ne
ye sitam taaza huā aur ki pā.īz meñ 'mīr'
dil ḳhas-o-ḳhār se nā-chār lagāyā ham ne
Top Urdushayar.com