ḳharābī kuchh na pūchho mulkat-e-dil kī imārat kī
ġhamoñ ne āj-kal suniyo vo ābādī hī ġhārat kī
nigāh-e-mast se jab chashm ne is kī ishārat kī
halāvat mai kī aur buniyād maiḳhāne kī ġhārat kī
sahar-gah maiñ ne pūchhā gul se hāl-e-zār bulbul kā
paḌe the baaġh meñ yak-musht par ūdhar ishārat kī
jalāyā jis tajallī-e-jalva-gar ne tuur ko ham-dam
usī ātish ke par kaale ne ham se bhī sharārat kī
nazākat kyā kahūñ ḳhurshīd-rū kī kal shab-e-mah meñ
gayā thā saa.e saa.e baaġh tak tis par harārat kī
nazar se jis kī yūsuf sā gayā phir us ko kyā sūjhe
haqīqat kuchh na pūchho pīr-e-kan.āñ kī basārat kī
tire kūche ke shauq-e-tauf meñ jaise bagūlā thā
bayābāñ maiñ ġhubār 'mīr' kī ham ne ziyārat kī