chorī meñ dil kī vo hunar kar gayā
dekhte hī āñkhoñ meñ ghar kar gayā
dahr meñ maiñ ḳhāk-basar hī rahā
umr ko is taur basar kar gayā
dil nahīñ hai manzil-e-sīna meñ ab
yaañ se vo bechāra safar kar gayā
haif jo vo nusḳha-e-dil ke upar
sarsarī sī ek nazar kar gayā
kis ko mire haal se thī āgahī
nāla-e-shab sab ko ḳhabar kar gayā
go na chalā tā-mizha-e-tīr-e-nigah
apne jigar se tū guzar kar gayā
majlis-e-āfāq meñ parvāna saañ
'mīr' bhī shaam apnī sahar kar gayā