chhuTtā hī nahīñ ho jise āzār-e-mohabbat
māyūs huuñ maiñ bhī ki huuñ bīmār-e-mohabbat
imkāñ nahīñ jīte-jī ho is qaid se āzād
mar jaa.e tabhī chhūTe giraftār-e-mohabbat
taqsīr na ḳhūbāñ kī na jallād kā kuchh jurm
thā dushman-e-jānī mirā iqrār-e-mohabbat
har jins ke ḳhvāhāñ mile bāzār-e-jahāñ meñ
lekin na milā koī ḳharīdār-e-mohabbat
is raaz ko rakh jī hī meñ tā jī bache terā
zinhār jo kartā ho tū iz.hār-e-mohabbat
har naqsh-e-qadam par tire sar beche haiñ āshiq
Tuk sair to kar aaj tū bāzār-e-mohabbat
kuchh mast haiñ ham dīda-e-pur-ḳhūn-e-jigar se
aayā yahī hai sāġhar-e-sarshār-e-mohabbat
bekār na rah ishq meñ tū rone se hargiz
ye girya hī hai āb-e-ruḳh-e-kār-e-mohabbat
mujh sā hī ho majnūñ bhī ye kab maane hai aaqil
har sar nahīñ ai 'mīr' sazā-vār-e-mohabbat