Meer Taqi Meer

kya kya baiThe bigaD bigaD tum par hum tum se banae gae

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kyā kyā baiThe bigaḌ bigaḌ tum par ham tum se banā.e ga.e
chupke bāteñ uThā.e ga.e sar gaaḌe vo haiñ aa.e ga.e
uTThe naqāb jahāñ se yārab jis se takalluf beach meñ hai
jab nikle us raah se ho kar muñh tum ham se chhupā.e ga.e
kab kab tum ne sach nahīñ mānīñ jhūTī bāteñ ġhairoñ kī
tum ham ko yuuñ hī jalā.e ga.e ve tum ko vo haiñ lagā.e ga.e
sub.h vo aafat uTh baiThā thā tum ne na dekhā sad afsos
kyā kyā fitne sar joḌe palkoñ ke saa.e saa.e ga.e
allāh re ye dīda-darā.ī huuñ na mukaddar kyūñke ham
āñkheñ ham se milā.e ga.e phir ḳhaak meñ ham ko milā.e ga.e
aag meñ ġham kī ho ke gudāzāñ jism huā sab paanī sā
ya.anī bin in shola-ruḳhoñ ke ḳhuub hī ham bhī taa.e ga.e
TukḌe TukḌe karne kī bhī had ek āḳhir hotī hai
kushte us kī teġh-e-sitam ke gor ta.iiñ kab laa.e ga.e
ḳhizr jo mil jaatā hai gaahe aap ko bhūlā ḳhuub nahīñ
kho.e ga.e us raah ke varna kaahe ko phir paa.e ga.e
marne se kyā 'mīr'-jī-sāhab ham ko hosh the kyā kariye
jī se haath uThā.e ga.e par us se dil na uThā.e ga.e
Top Urdushayar.com