Meer Taqi Meer

ab jo ek hasrat-e-jawani hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ab jo ik hasrat-e-javānī hai
umr-e-rafta kī ye nishānī hai
rashk-e-yūsuf hai aah vaqt-e-azīz
umr ik bār-e-kārvānī hai
girya har vaqt kā nahīñ be-hech
dil meñ koī ġham-e-nihānī hai
ham qafas-zād qaidī haiñ varna
tā chaman ek par-fishānī hai
us kī shamshīr tez hai hamdam
mar raheñge jo zindagānī hai
ġham-o-rañj-o-alam niko yaañ se
sab tumhārī hī mehrbānī hai
ḳhaak thī maujzan jahāñ meñ aur
ham ko dhokā ye thā ki paanī hai
yaañ hue 'mīr' tum barābar ḳhaak
vaañ vahī naaz o sargirānī hai
Top Urdushayar.com