ġhusse se uTh chale ho to dāman ko jhaaḌ kar
jaate raheñge ham bhī garebān phaaḌ kar
dil vo nagar nahīñ ki phir ābād ho sake
pachhtāoge suno ho ye bastī ujaaḌ kar
yārab rah-e-talab meñ koī kab talak phire
taskīn de ki baiTh rahūñ paañv gaaḌ kar
manzūr ho na paas hamārā to haif hai
aa.e haiñ aaj duur se ham tujh ko taaḌ kar
ġhālib ki deve quvvat-e-dil is za.iif ko
tinke ko jo dikhāve hai pal meñ pahāḌ kar
nikleñge kaam dil ke kuchh ab ahl-e-rīsh se
kuchh Dher kar chuke haiñ ye aage ukhāḌ kar
us fan ke pahalvānoñ se kashtī rahī hai 'mīr'
bahutoñ ko ham ne zer kiyā hai pachhāḌ kar