Meer Taqi Meer

misal-e-saya mohabbat mein jal apna hun

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
misāl-e-sāya mohabbat meñ jaal apnā huuñ
tumhāre saath giraftār-e-hāl apnā huuñ
sarishk-e-surḳh ko jaatā huuñ jo piye har-dam
lahū kā pyāsā alal-ittisāl apnā huuñ
agarche nashsha huuñ sab meñ ḳhum-e-jahāñ meñ lek
ba-rañg-e-mai araq-e-infi.āl apnā huuñ
mirī numūd ne mujh ko kiyā barābar ḳhaak
maiñ naqsh-e-pā kī tarah pā.emāl apnā huuñ
huī hai zindagī dushvār mushkil āsāñ kar
phirūñ chalūñ to huuñ par maiñ vabāl apnā huuñ
tirā hai vahm ki ye nā-tavāñ hai jaame meñ
vagarna maiñ nahīñ ab ik ḳhayāl apnā huuñ
balā huī hai mirī go kā tab-e-raushan 'mīr'
huuñ āftāb va-lekin zavāl apnā huuñ
Top Urdushayar.com