Meer Taqi Meer

KHush-qadan jab sawar hote hain

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ḳhush-qadāñ jab savār hote haiñ
sarv-o-qumrī shikār hote haiñ
tere bāloñ ke vasf meñ mere
sher sab pechdār hote haiñ
aao yād-e-butāñ pa bhuul na jaao
ye taġhāful-shi.ār hote haiñ
dekh leveñge ġhair ko tujh paas
sohbatoñ meñ bhī yaar hote haiñ
sadqe ho leveñ ek-dam tere
phir to tujh par nisār hote haiñ
tū kare hai qarār milne kā
ham abhī be-qarār hote haiñ
haf-iqlīm har galī hai kahīñ
dillī se bhī dayār hote haiñ
rafta rafta ye tifl-e-ḳhush-zāhir
fitna-e-rozgār hote haiñ
us ke nazdīk kuchh nahīñ izzat
'mīr'-jī yuuñ hī ḳhvār hote haiñ
Top Urdushayar.com