ġham us ko saarī raat sunāyā to kyā huā
yā roz uTh ke sar ko phirāyā to kyā huā
un ne to mujh ko jhūTe bhī pūchhā na ek baar
maiñ ne use hazār jatāyā to kyā huā
ḳhvāhāñ nahīñ vo kyuuñ hī maiñ apnī taraf se yuuñ
dil de ke us ke haath bikāyā to kyā huā
ab sa.ī kar sip.har ki mere muue ga.e
us kā mizāj mehr pe aayā to kyā huā
mat rañja kar kisī ko ki apne to e'tiqād
dil Dhaa.e kar jo ka.aba banāyā to kyā huā
maiñ said-e-nā-tavāñ bhī tujhe kyā karūñgā yaad
zālim ik aur tiir lagāyā to kyā huā
kyā kyā duā.eñ māñgī haiñ ḳhalvat meñ shaiḳh yuuñ
zāhir jahāñ se haath uThāyā to kyā huā
vo fikr kar ki chāk-e-jigar paave iltiyām
nāseh jo tū ne jaama sulāyā to kyā huā
jiite to 'mīr' un ne mujhe daaġh hī rakkhā
phir gor par charāġh jalāyā to kyā huā