Meer Taqi Meer

be-yar shahr dil ka viran ho raha hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
be-yār shahr dil kā vīrān ho rahā hai
dikhlā.ī de jahāñ tak maidān ho rahā hai
is manzil-e-jahāñ ke bāshinde raftanī haiñ
har ik ke haañ safar kā sāmān ho rahā hai
achchhā lagā hai shāyad āñkhoñ meñ yaar apnī
ā.īna dekh kar kuchh hairān ho rahā hai
gul dekh kar chaman meñ tujh ko khilā hī jā hai
ya.anī hazār jī se qurbān ho rahā hai
hāl-e-zabūn apnā poshīda kuchh na thā to
suntā na thā ki ye said be-jān ho rahā hai
zālim idhar kī sudh le juuñ sham-e-sub.h-gāhī
ek aadh dam kā āshiq mehmān ho rahā hai
qurbāñ-gah-e-mohabbat vo jā hai jis meñ har sū
dushvār jaan denā āsān ho rahā hai
har shab galī meñ us kī rote to rahte ho tum
ik roz 'mīr' sāhab tūfān ho rahā hai
Top Urdushayar.com