Meer Taqi Meer

maine jo be-kasana majlis mein jaan khoi

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
maiñ ne jo be-kasāna majlis meñ jaan khoī
sar par mire khaḌī ho shab sham.a zor ravī
aatī hai sham.a shab ko aage tire ye kah kar
muñh kī ga.ī jo loī to kyā karegā koī
be-tāqatī se aage kuchh pūchhtā bhī thā so
rone ne har ghaḌī ke vo baat hī Duboī
bulbul kī bekalī ne shab be-dimāġh rakhā
sone diyā na ham ko zālim na aap soī
us zulm pesha kī ye rasm-e-qadīm hai gī
ġhairoñ pe mehrbānī yāroñ se kīna-jūī
naubat jo ham se gaahe aatī hai guftugū kī
muñh meñ zabāñ nahīñ hai is bad-zabāñ ke goī
us mah ke jalve se kuchh tā 'mīr' yaad deve
ab ke gharoñ meñ ham ne sab chāñdnī hai boī
Top Urdushayar.com