Meer Taqi Meer

ishq hamare KHayal paDa hai KHwab gai aaram gaya

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ishq hamāre ḳhayāl paḌā hai ḳhvāb ga.ī ārām gayā
jī kā jaanā Thahar rahā hai sub.h gayā yā shaam gayā
ishq kiyā so diin gayā īmān gayā islām gayā
dil ne aisā kaam kiyā kuchh jis se maiñ nākām gayā
kis kis apnī kal ko rove hijrāñ meñ bekal us kā
ḳhvāb ga.ī hai taab ga.ī hai chain gayā ārām gayā
aayā yaañ se jaanā hī to jī kā chhupānā kyā hāsil
aaj gayā yā kal jāvegā sub.h gayā yā shaam gayā
haa.e javānī kyā kyā kahiye shor saroñ meñ rakhte the
ab kyā hai vo ahd gayā vo mausam vo hañgām gayā
gaalī jhiḌkī ḳhashm-o-ḳhushūnat ye to sar-e-dast aksar haiñ
lutf gayā ehsān gayā in.aam gayā ikrām gayā
likhnā kahnā tark huā thā aapas meñ to muddat se
ab jo qarār kiyā hai dil se ḳhat bhī gayā paiġhām gayā
nāla-e-'mīr' savād meñ ham tak doshīñ shab se nahīñ aayā
shāyad shahr se us zālim ke āshiq vo badnām gayā
Top Urdushayar.com