raat se aañsū mirī āñkhoñ meñ phir aane lagā
yak ramaq jī thā badan meñ so bhī ghabrāne lagā
vo laḌakpan se nikal kar teġh chamkāne lagā
ḳhuun karne kā ḳhayāl ab kuchh use aane lagā
la.al-e-jāñ-baḳhsh us ke the poshīda juuñ āb-e-hayāt
ab to koī koī in hoñThoñ pe mar jaane lagā
haif maiñ us ke suḳhan par Tuk na rakkhā gosh ko
yuuñ to nāseh ne kahā thā dil na dīvāne lagā
habs-e-dam ke mo'taqid tum hoge shaiḳh-e-shahr ke
ye to albatta ki sun kar la.an dam khāne lagā
garm milnā us gul-e-nāzuk-tabī.at se na ho
chāñdnī meñ raat baiThā thā sau murjhāne lagā
āshiqoñ kī pā.emālī meñ use isrār hai
ya.anī vo mahshar-ḳhirām ab paañv phailāne lagā
chashmak us mah kī sī dilkash diid meñ aa.ī nahīñ
go sitāra subah kā bhī aañkh jhapkāne lagā
kyūñkar us ā.īna-rū se 'mīr' maliye be-hijāb
vo to apne aks se bhī dekho sharmāne lagā