Meer Taqi Meer

gul sharm se bah jaega gulshan mein ho kar aab sa

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
gul sharm se bah jā.egā gulshan meñ ho kar aab sā
burqe se gar niklā kahīñ chehra tirā mahtāb sā
gul-e-barg kā ye rañg hai marjāñ kā aisā Dhañg hai
dekho na jhumke hai paḌā vo hoñT la.al-e-nāb sā
vo māya-e-jāñ to kahīñ paidā nahīñ joñ kīmiyā
maiñ shauq kī ifrāt se betāb huuñ sīmāb sā
dil taab hī laayā na Tuk tā yaad rahtā ham-nashīñ
ab aish roz-e-vasl kā hai jī meñ bhūlā ḳhvāb sā
sanñāhaTe meñ jaan ke hosh-o-havās-o-dam na thā
asbāb saarā le gayā aayā thā ik sailāb sā
ham sar-kashī se muddatoñ masjid se bach bach kar chale
ab sajde hī meñ guzre hai qad jo huā mehrāb sā
thī ishq kī vo ibtidā jo mauj sī uTThī kabhū
ab dīda-e-tar ko jo tum dekho to hai girdāb sā
bahke jo ham mast aa ga.e sau baar masjid se uThā
vaa.iz ko maare ḳhauf ke kal lag gayā jullāb sā
rakh haath dil par 'mīr' ke daryāft kar kyā haal hai
rahtā hai aksar ye javāñ kuchh in dinoñ betāb sā
Top Urdushayar.com