Meer Taqi Meer

mujh sa betab howe jab koi

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
mujh sā betāb hove jab koī
be-qarārī ko jaane tab koī
haañ ḳhudā maġhfirat kare us ko
sabr marhūm thā ajab koī
jaan de go masīh par us se
baat kahte haiñ tere lab koī
ba.ad mere hī ho gayā sunsān
sone paayā thā varna kab koī
us ke kūche meñ hashr the mujh tak
āh-o-nāla kare na ab koī
ek ġham meñ huuñ maiñ hī aalam meñ
yuuñ to shādāñ hai aur sab koī
nā-samajh yuuñ ḳhafā bhī hotā hai
mujh se muḳhlis se be-sabab koī
aur mahzūñ bhī ham sune the vale
'mīr' sā ho sake hai kab koī
ki talaffuz tarab kā sun ke kahe
shaḳhs hogā kahīñ tarab koī
Top Urdushayar.com