raftagāñ meñ jahāñ ke ham bhī haiñ
saath us kārvāñ ke ham bhī haiñ
sham.a hī sar na de ga.ī barbād
kushta apnī zabāñ ke ham bhī haiñ
ham ko majnūñ ko ishq meñ mat buujh
nañg us ḳhāndāñ ke ham bhī haiñ
jis chaman-zār kā hai tū gul-e-tar
bulbul is gulsitāñ ke ham bhī haiñ
nahīñ majnūñ se dil qavī lekin
yaar us nā-tavāñ ke ham bhī haiñ
bosa mat de kisū ke dar pe nasīm
ḳhaak us āstāñ ke ham bhī haiñ
go shab us dar se duur pahroñ phireñ
paas to pāsbāñ ke ham bhī haiñ
vaj.h-e-begānagī nahīñ mālūm
tum jahāñ ke ho vaañ ke ham bhī haiñ
mar ga.e mar ga.e nahīñ to nahīñ
ḳhaak se muñh ko Dhāñke ham bhī haiñ
apnā sheva nahīñ kajī yuuñ to
yaar jī TeḌhe bāñke ham bhī haiñ
is sire kī hai pārsā.ī 'mīr'
mo'taqid us javāñ ke ham bhī haiñ