kahte ho ittihād hai ham ko
haañ kaho e'timād hai ham ko
shauq hī shauq hai nahīñ mālūm
is se kyā dil nihād hai ham ko
ḳhat se nikle hai bevafā.i-e-husn
is qadar to savād hai ham ko
aah kis Dhab se roiye kam kam
shauq had se ziyād hai ham ko
shaiḳh o pīr-e-muġhāñ kī ḳhidmat meñ
dil se ik e'tiqād hai ham ko
sādgī dekh ishq meñ us ke
ḳhvāhish-e-jān shaad hai ham ko
bad-gumānī hai jis se tis se aah
qasd-e-shor-o-fasād hai ham ko
dostī ek se bhī tujh ko nahīñ
aur sab se inaad hai ham ko
nā-murādāna ziist kartā thā
'mīr' kā taur yaad hai ham ko