Meer Taqi Meer

aawegi meri qabr se aawaz mere baad

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
āvegī merī qabr se āvāz mere ba.ad
ubhreñge ishq-e-dil se tire raaz mere ba.ad
jiinā mirā to tujh ko ġhanīmat hai nā-samajh
khīñgā kaun phir ye tire naaz mere ba.ad
sham-e-mazār aur ye soz-e-jigar mirā
har shab kareñge zindagī nā-sāz mere ba.ad
hasrat hai is ke dekhne kī dil meñ be-qayās
aġhlab ki merī āñkheñ raheñ baaz mere ba.ad
kartā huuñ maiñ jo naale sar-anjām baaġh meñ
muñh dekho phir kareñge ham āvāz mere ba.ad
bin gul muā hī maiñ to pa tū jā ke lauTiyo
sehn-e-chaman meñ ai par-e-parvāz mere ba.ad
baiThā huuñ 'mīr' marne ko apne meñ musta.id
paidā na hoñge mujh se bhī jāñbāz mere ba.ad
Top Urdushayar.com