sitam se go ye tire kushta-e-vafā na rahā
rahe jahān meñ to dair meñ rahā na rahā
kab us kā naam liye ġhash na aa gayā mujh ko
dil-e-sitam-zada kis vaqt us meñ jā na rahā
milānā aañkh kā har-dam fareb thā dekhā
phir ek dam meñ vo be-dīd āshnā na rahā
muue to ham pe dil par ko ḳhuub ḳhālī kar
hazār shukr kaso se hameñ gila na rahā
udhar khulī mirī chhātī idhar namak chhiḌkā
jarāhat us ko dikhāne kā ab maza na rahā
huā huuñ tañg bahut koī din meñ sin liijo
ki jī se haath uThā kar vo uTh gayā na rahā
sitam kā us ke bahut maiñ nazār huuñ mamnūn
jigar tamām huā ḳhūn-o-dil bajā na rahā
agarche rah ga.e the ustuḳhvān-o-post vale
lagā.ī aisī ki tasma bhī phir lagā na rahā
hamīyat us ke ta.iiñ kahte haiñ jo 'mīr' meñ thī
gayā jahāñ se pe terī galī maiñ aa na rahā