shauq hai to hai us kā ghar nazdīk
dūrī-e-rah hai rāhbar nazdīk
aah karne meñ dam ko sādhe rah
kahte haiñ dil se hai jigar nazdīk
duur vāloñ ko bhī na pahuñche ham
yahī na tum se haiñ magar nazdīk
Dūbeñ dariyā-o-koh-o-shahr-o-dasht
tujh se sab kuchh hai chashm-e-tar nazdīk
harf duurī hai garche inshā lek
diijo ḳhat jā ke nāma-bar nazdīk
duur ab baiThte haiñ majlis meñ
ham jo tum se the beshtar nazdīk
ḳhabar aatī hai so bhī duur se yaañ
aao yak-bār be-ḳhabar nazdīk
tosha-e-āḳhirat kā fikr rahe
jī se jaane kā hai safar nazdīk
daur phirne kā ham se vaqt gayā
pūchh kuchh haal baiTh kar nazdīk
mar bhī rah 'mīr' shab bahut royā
hai mirī jaan ab sahar nazdīk