jo dekho mire sher-e-tar kī taraf
to maa.il na ho phir guhar kī taraf
koī dād-e-dil aah kis se kare
har ik hai so us fitna-gar kī taraf
mohabbat ne shāyad ki dī dil ko aag
dhuāñ sā hai kuchh is nagar kī taraf
lagīñ haiñ hazāroñ hī āñkheñ udhar
ik āshob hai us ke ghar kī taraf
bahut rañg miltā hai dekho kabhū
hamārī taraf se sahar kī taraf
ba-ḳhud kis ko us tāb-e-ruḳh ne rakhā
kare kaun shams-o-qamar kī taraf
na samjhā gayā abr kyā dekh kar
huā thā mirī chashm-e-tar kī taraf
Tapaktā hai palkoñ se ḳhuuñ muttasil
nahīñ dekhte ham jigar kī taraf
munāsib nahīñ hāl-e-āshiq se sabr
rakhe hai ye daarū zarar kī taraf
kise manzil-e-dilkash-e-dahr meñ
nahīñ miil ḳhātir safar kī taraf
rag-e-jāñ kab aatī hai āñkhoñ meñ 'mīr'
ga.e haiñ mizāj us kamar kī taraf